Wednesday, 17 October 2012

MAA


Zindagi ki tapti dhoop mai ek thanda saya paya hai mai ne
Jab kholi aankh to apni maa ko muskorata howa paya hai mai ne
Jab bhi maa ka naam liya,
Os ka beshomaar pyar paya hai mai ne
Jab koi dard mehsoos howa, jab koi mushkil aayi
Apne pehlo mai apni maa ko paya hai mai ne
Jaagti rahi who raat bhar mere liye
Jaane kitni raatein, osay jagaya hai mai ne
Zindagi ke har moadh(mor) par, jab howi gumrah mai
Iski hidaayat par, pakarli seedhi raah mai ne
Jis ki dua se har moseebat loat jaye,
Aisa farishta paya hai mai ne
Meri har fiker ko janne wali,
Mere jazbaaton ko pehcanne wali,
Aisi hasti payi hai mai ne
Meri zindagi sirf meri maa hai,
Isi ke liye to,
Is zindagi ki shama jala rakkhi hai mai ne


No comments:

Post a Comment